Pradhan Mantri Mudra Yojana

Mudra Loan Kya Hai? Pradhan Mantri Mudra Yojana (PMMY) Detail :-

Mudra Loan ek popular government scheme hai jo chhote business owners, startups, aur entrepreneurs ko financial help deti hai.

 Agar aap apna business start karna chahte hain ya expand karna chahte hain to Mudra Loan ek best option hai.




Mudra Loan Ki Categories

Mudra Loan teen categories mein milta hai:

  • Shishu Loan:
    ₹50,000 tak ka loan, nayi business ke liye.

  • Kishor Loan:
    ₹50,001 se ₹5,00,000 tak, thode bade business ke liye.

  • Tarun Loan:
    ₹5,00,001 se ₹10,00,000 tak, established business expansion ke liye.


Mudra Loan Ki Features

  • Collateral-Free Loan: Koi security dene ki zarurat nahi.

  • Low Interest Rate: Banks ke hisaab se vary karta hai, usually 8% se start hota hai.

  • Repayment Period: 3 se 5 saal tak repayment.

  • Loan Amount: ₹50,000 se ₹10 lakh tak.


Mudra Loan Ke Liye Eligibility

  • Aap Indian citizen hone chahiye.

  • Business non-corporate aur small/micro hona chahiye.

  • Agriculture, manufacturing, trading ya service sector se related business ho sakta hai.





Mudra Loan Ke Documents

  • Aadhar Card

  • PAN Card

  • Business Address Proof

  • Bank Statement (Last 6 months)

  • Business Plan (agar available ho)

  • Passport size photo.


Mudra Loan Kaise Apply Karein?

  1. Apne nearest bank ya financial institution jayein.

  2. PMMY ke liye application form fill karein.

  3. Zaroori documents submit karein.

  4. Verification ke baad loan approve hoke milta hai.

Online Apply: Aap Udyami Mitra Portal par bhi online apply kar sakte hain.

Mudra Loan Ke Fayde

  • Business start ya expand karne mein madad

  • Collateral na hone ki wajah se easy approval

  • Affordable interest rates

  • Flexible repayment options.


Agar aap apna khud ka business start karna chahte hain ya apne existing business ko grow karna chahte hain to Mudra Loan ek achha option hai. 

Government ki is scheme ke through aapko loan milta hai bina kisi bada security ke. 

Jaldi se apne nearest bank se contact karein ya online apply karein.






Comments